Thursday 13 September 2012

Jeevan hai Anmol

Jeevan hai anmol
Na tum Samay barbaad karo..

Khush raho sada
Har kisi se tum Pyar karo

Haar Jeet ki fikar chod
Mehnat se na inkaar karo

Apno pe na kabhi shak
Na kabhi unse sawaal karo

Rakho Bharosa khud par
Apne bado ka samaan karo

Maata Pita ka aadar kar
Sapne unke sakaar karo

Milegi safalta ek din...
Upar wale ka vishwaas karo....

Tuesday 11 September 2012

Bachpan

Khud me soye bachpan ko jagana hai
Befikar ho mushkilo pe muskurana hai...

chonto  ke darr ko bhula khelte jana hai....
Suraj ki garmi ko cold drink se bhujana hai..

Masumiyat jo kho gayi hai hum me..
Aaj use khud me fir se jagana hai..

khushiya jo kho gayi hai kahin
unhe aaj chehre pe fir se sajana hai..

apni natkhat naughty adao se..
fir se duniya ko hasana hai

Nafrat ko chod Unch neech ko bhula
hume ek dusre ko gale lagana hai..

khuch paane ki chah me
jee jaan hume ab lagana hai..

usko paane ki khushi me
apno ko nahi bhulana hai......

zindagi ki bhag daud me bhi
has ke aagey badhte jaana hai....

khud me soye bachpan ko fir se jagana hai..
befikar ho mushkilo pe muskurana hai..

Thursday 6 September 2012

Har Subah Ek Naya Safar

har subah ek naya safar..
raah wahi manjil wahi..
karna hai khuch alag magar
 
chod ke apno ko ghar
sath bitane ke liye khuch haseen pal
karni hai hume mehnat din bhar
 
mushkilo se ho befikar
himmato se likhke ek naya kal..
badhte rahenge hum hoke nidar...
 
har pal yaad aayegi unki magar
mehnat ho jayegi hamari safal
jab khilegi muskan unke chehre par
 
shaam aayegi fir roshni lekar
lautenge wapas wo haseen pal
mil jayenge bhichde apne ghar par
 
sath rahenge ye pal yaadein bankar
par na jane kya hoga kal
hogi ek nayi subah aur ek naya safar
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...