na padhi kabhi geeta na padhi kabhi kuran.
fir bhi na jane kyu dharm ke naam pe lad rahe insaan..
laayi duniya me tumhe, daali naari ne tum me jaan..
bhula isko kyu kar rahe aaj naari ka hi tum apmaan..
jalte hai ghar jab hota hai charo aur ghamasaan..
khuch logo ki roti sikti hai jab ladte hai do insaan..
kadi mehnat aur mushkilo se desh banta hai maahaan..
do chaar ki wajah se na jhuke kabhi desh ka maan...
burai pe hoti hai achai ki jeet sada suno khol ke tum kaan..
ekta se jo rehte hai koi kar nahi skata unka apmaan..
gar koi puche tumse kya dharam hai tera bhole insaan..
has ke kehna tum main hoon bharat ka vasi bharat hi meri shaan..
--Poem By Peeyush