Showing posts with label nice poems. Show all posts
Showing posts with label nice poems. Show all posts

Wednesday, 23 September 2015

Maut se Mulakat (Encounter with Death)

ek baar ho gayi mulakat maut se..
kaha aaya waqt alwida kehne ka duniya se...

sakpaka gaya main ud gayi muskaan chehre se..
abhi umar hi kya hai meri jo roobaroo ho gaya maut se..

ghabra ke dhimi aawaj me pucha maine maut se..
kai kaam hai pure karne chaloo sath tere bata main kaise..

abhi to jee bhi nahi paaya zindagi main puri tarah se
vyast tha main har samay roz marah ke kaamo se..

kiya nahi koi kaam apne liye aaj tak apni khushi se...
sapne jo dekhe hai ab wo pure ho payenge kis tarah se..

maut muskura ke boli ja ke puch jara zamane se..
main to aati hoon hamesha zindagi ko le jaane acchanak se..

jiyonga khud ke liye 40 ke baad ye socha bhi tune kaise...
kyu bhaagta raha har samay kamane ko tu paise...

kyu nahi kiye kaam tune kabhi apni khushi se..
kyu muh ferta raha khud hi apne sapno se...

nahi koi fayda ab rone me aur pachtane se..
chal mere sath aur keh de alwida zamane se..

-Poem By Peeyush

Friday, 28 August 2015

Saccha Insaan

नहीं बढ़ा सकते मान देश का 
तो करो इतना की न करो अपमान 

तुम्हारा लालच देखो कैसे 
ले रहा कितने मासूमो की जान 

समय न गवाओ व्यर्थ कामो में 
न करो खुद की मेहनत का अपमान 

आग लगाने से कब किसी का हुआ भला 
इतना तो समझो तुम सब नादान 

करना है तो करो मदद गरीब की 
ऊपर वाले का भी है यही फरमान 

जो जिया दुसरो की खुशिओं के लिए 
वाही कहलाता है दुनिया में सच्चा इंसान 

-Poem By Peeyush

Saturday, 22 August 2015

Koi Raah Dikha

कोई राह दिखा ऐ ज़िन्दगी
कब तक मैं भटकता रहूँगा

कब तक सवाल ए ज़िन्दगी को
युहीं अकेला खोजता रहूँगा

आया कैसे इस दुनिया में बनके अजनबी
कैसे एक दिन चला जाऊँगा

बन गए कितने रिश्ते दुनिया में
उन सब को पीछे छोड़ जाऊंगा

कैसे मिले सुख कैसे आई जीवन में ख़ुशी
क्या इस पहेली को कभी समझ पाऊंगा

क्या मकसद था मेरा क्या मंजिल थी पानी
क्या अपनी मंजिल हासिल कर पाऊंगा

अपनों से मिली जो ख़ुशी
क्या उन्हें भी कभीं लौटा पाऊंगा

एहसान थोड़ा कर मुझपे ऐ  ज़िन्दगी
वक़्त दे इतना की थोड़ी ख़ुशीया अपने साथ के जाऊँगा

Friday, 24 July 2015

FB internet ka Saboot hai..

Har photo pe like bahut hai ..
sochta hoon zindagi me dost bahut hai...

comments karke chidane ka keeda bahut hai..
faltu ke topics pe behas ka irada majboot hai

FB pe id hona internet ka saboot hai..
maano Zuckerberg khuda ka bheja hua prem doot hai.

khane se pehle photo nikalne ka riwaj atoot hai..
LOL ROFL ke bina baatein chatting incomplete hai..

holidaying maano jaise koi photo shoot hai..
selfie ke bina album bhi maano incomplete hai..

Har status pe coments bahut hai..
FB ke bina maano internet incomplete hai...

Saturday, 18 July 2015

FB ki Duniya

karta hoon jab main profile pic update
likes ki lag jate hi maano parade

jab kabhi karta hoon status update..
friends karte hai reply almost immediate

FB ki duniya me till this date..
I have hundreds of good mate(s)..

ho jata hoon subah online at eight...
FB surf karta hoon chahe ho jaoo office ko late..

raat ko bhi when i am in neend ki state..
i cant miss a single friends update..

neend ko kehta ho kar thoda aur wait..
i need to say good night to my FB mate(s).


Wednesday, 31 December 2014

Naya Saal Aapko Mubarak Ho

naya saal aapko mubarak ho.....
sabke liye aane wala kal sukh  dayak ho..

saja rakhe dil me jo aapne sapne ho..
is saal aasha hai ki sab ke sab pure ho..

man me ek baar fir se harsh aur ullas ho..
bhichad gaye jo dost fir unka sath ho...

dil me khuch kar dikhane ka vishwas ho...
mehnat se manjil paane ka khwab ho....

bade bujurgo ke prati dil me samman ho..
burai ko jad se mitane ke liye sab taiyar ho...

Friday, 10 August 2012

Wo Bhi kya Din Hua karte the

wo bhi kya din hua karte the..
jab choti choti cheejo se hum hasa karte the..

kha ke ek choti si choclate..
maaano jahan jeet liya karte the......

chad ke chath pe
aasmaan chu liya karte the..

dekh ke taaro ko
sapne dekh liya karte the......

tute bat aur ball se
saara din khel liya karte the..

dhup me chao me..........
muskura ke jee liya karte the............

bachpan ke maano
kya haseen pal hua karte the..

ab to badi badi cheeje bhi
hume nahi lubhati hai....

Aircon ke bina to ab...
hume neend bhi nahi aati hai...

khelna to durr...
dosto se baat bhi nahi ho paati hai...

jaane anjaane me..
zindagi bhi kya kya dikhati hai......
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...