Wednesday, 23 September 2015

Maut se Mulakat (Encounter with Death)

ek baar ho gayi mulakat maut se..
kaha aaya waqt alwida kehne ka duniya se...

sakpaka gaya main ud gayi muskaan chehre se..
abhi umar hi kya hai meri jo roobaroo ho gaya maut se..

ghabra ke dhimi aawaj me pucha maine maut se..
kai kaam hai pure karne chaloo sath tere bata main kaise..

abhi to jee bhi nahi paaya zindagi main puri tarah se
vyast tha main har samay roz marah ke kaamo se..

kiya nahi koi kaam apne liye aaj tak apni khushi se...
sapne jo dekhe hai ab wo pure ho payenge kis tarah se..

maut muskura ke boli ja ke puch jara zamane se..
main to aati hoon hamesha zindagi ko le jaane acchanak se..

jiyonga khud ke liye 40 ke baad ye socha bhi tune kaise...
kyu bhaagta raha har samay kamane ko tu paise...

kyu nahi kiye kaam tune kabhi apni khushi se..
kyu muh ferta raha khud hi apne sapno se...

nahi koi fayda ab rone me aur pachtane se..
chal mere sath aur keh de alwida zamane se..

-Poem By Peeyush

No comments :

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...