Showing posts with label deshbhakti poem. Show all posts
Showing posts with label deshbhakti poem. Show all posts

Friday, 28 August 2015

Saccha Insaan

नहीं बढ़ा सकते मान देश का 
तो करो इतना की न करो अपमान 

तुम्हारा लालच देखो कैसे 
ले रहा कितने मासूमो की जान 

समय न गवाओ व्यर्थ कामो में 
न करो खुद की मेहनत का अपमान 

आग लगाने से कब किसी का हुआ भला 
इतना तो समझो तुम सब नादान 

करना है तो करो मदद गरीब की 
ऊपर वाले का भी है यही फरमान 

जो जिया दुसरो की खुशिओं के लिए 
वाही कहलाता है दुनिया में सच्चा इंसान 

-Poem By Peeyush

Monday, 22 December 2014

Aaj fir desh aazadi maang raha hai

Aaj fir desh aazadi maang raha hai..
Par is baar khoon nahi mehnat maang raha hai..

Jaan ke badle tumhara imaan maang raha hai..
Desh ke prati dil me chupa pyar maang raha hai..

Balidaan ki jagah shramdaan maang raha hai...
Desh ko saaf swach rakhne me tumhara yogdaan maang raha hai..

Naari ke prati samman maang raha hai...
Unki suraksha ka hisab maang raha hai..

Corruption ke khilaf tumhari aawaaj maang raha hai..
Garibi ke khilaf tumhara aagaaj maang raha hai..

Kisi ek ke karne se kya nahi hota hai..
Ek bhagat singh ke marne se saara desh jaag uthta hai...

Is baar to na marna hai na maarna hai..
Kewal desh ko dil se apna maan-na hai..

Is aazaadi me bhi utni hi khushiya hai...
Bus burai ko dil se vida karna hai..

Desh ko ek baar fir mehfooz banana hai..
Desh me aazadi ka parcham fir se fehrana hai......

Poem by Peeyush

Friday, 14 February 2014

Mera Desh Mahaan..

aaj fir dilo me uth raha hai tufaan..
maano jaag rha ho soya hindustaan...

dekh ke nayi roshni jaag gaye fir dilo me armaan..
lag raha maano keh sakenge fir se mera bharat mahaan...

hoga na koi garib milegi mehnat ko ek nayi pehchaan...
fir se hoga desh me jai jawan jai kisan aur jai vigyan..

sata na sakega koi kisi ko majboor jaan...
corruption aur garibi se milega sabko nidaan....

ruk na jaana tum manjil ko najdeek jaan....
desh ke liye de dena tum har balidaan....

baith na jaana kabhi mushkilo ko mushkil jaan...
sone ki chidiya kehlayega fir se mera bharat mahaan..


-Poem by Peeyush 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...