Aaj fir desh aazadi maang raha hai..
Par is baar khoon nahi mehnat maang raha hai..
Jaan ke badle tumhara imaan maang raha hai..
Desh ke prati dil me chupa pyar maang raha hai..
Balidaan ki jagah shramdaan maang raha hai...
Desh ko saaf swach rakhne me tumhara yogdaan maang raha hai..
Naari ke prati samman maang raha hai...
Unki suraksha ka hisab maang raha hai..
Corruption ke khilaf tumhari aawaaj maang raha hai..
Garibi ke khilaf tumhara aagaaj maang raha hai..
Kisi ek ke karne se kya nahi hota hai..
Ek bhagat singh ke marne se saara desh jaag uthta hai...
Is baar to na marna hai na maarna hai..
Kewal desh ko dil se apna maan-na hai..
Is aazaadi me bhi utni hi khushiya hai...
Bus burai ko dil se vida karna hai..
Desh ko ek baar fir mehfooz banana hai..
Desh me aazadi ka parcham fir se fehrana hai......
Poem by Peeyush

No comments :
Post a Comment