Showing posts with label poem. Show all posts
Showing posts with label poem. Show all posts

Monday, 5 January 2015

College ka Pyar

college me hum mile the pehli baar..
canteen me hui thi hamari aankhein char...

kabhi pehanke aati wo skirt kabhi salwaar..
girati sabke dilo pe bijliya hazaar...

ice-cream aur chocolate se tha usko pyaar..
raat me teddy bear ban jata uske yaar...

roj dekh hume muskati laga hume ho raha unhe humse pyar..
par dosto ke bheech karti pyar se hamesha inkaar..

Saturday, 3 January 2015

खरीदारी

शर्मा जी मिले करते हुए खरीदारी
देख के उनको ... खुली रह गयी आँखें हमारी

हाथ में झोला... झोले में भिन्डी तरकारी
लगा जैसे खरीद ली हो सब्जिया सारी

दूसरे हाथ की तरफ पड़ी जब नजर हमारी
चौंक गए हम देख के झोला भारी

पूछा हमने शर्मा जी क्या खरीद ली दुकान सारी
हंस के बोले वो क्या करू दुकान पे थी सेल भारी

Wednesday, 31 December 2014

Naya Saal Aapko Mubarak Ho

naya saal aapko mubarak ho.....
sabke liye aane wala kal sukh  dayak ho..

saja rakhe dil me jo aapne sapne ho..
is saal aasha hai ki sab ke sab pure ho..

man me ek baar fir se harsh aur ullas ho..
bhichad gaye jo dost fir unka sath ho...

dil me khuch kar dikhane ka vishwas ho...
mehnat se manjil paane ka khwab ho....

bade bujurgo ke prati dil me samman ho..
burai ko jad se mitane ke liye sab taiyar ho...

Tuesday, 20 May 2014

Wo College ke Din

वो college  के दिन .....
वो रंगीली रातें 

वो महीने भर  से न धुली  jeans ....
और वो cafe में ढेर सारी बातें 

वो लेक्चर में लास्ट बेंच की नींद …
वो टीचर की डांटें 

वो bunk  क्लास से …
सड़क पे दौड़ती bike की रफ़्तारें 

वो सन्नाटे से भरी …
exams से पहले की रातें 

वो campus placement की टेंशन ...
job लगने पे चेहरे की मुस्कुराहटें 

वो farewell की party ....
दोस्तों से संग रहने के किये हुए वादें 

वो कॉलेज का आखिरी दिन .....
नया  सफर लेके ढेर सारी यादें

वो college के दिन .....
यारो के बिना  कैसे हम बिता पाते .... 

- पीयूष


Tuesday, 4 February 2014

Rajniti ka Khel - Poem on Politics

Desh me aaya naya ek khel....
khel rahe sab jaane kaun hoga fail..

kahin hai jhadoo koi kar raha hath se mail...
soch rahe sab kaise bheje bhrasth netao ko jail...

kamal khilega desh me ya hoga fir se fail..
media nikal raha choti choti baatoein ka tail....

jud raha yuva ban raha romanchak ye khel..
jo ho wo ho bus bharat na ho is rajniti me fail...


-Poem by Peeyush 

Monday, 5 August 2013

srishti (Nature)

saagar me uth rahe tufaan...
nadiya bhi le rahi massomo ki jaan...
 
khisak rahi dharti aa rahi hai baadh..
prakruti ka maano tut raha sabr ka baandh..
 
samjho gar samjh sako shrishti ka ye farmaan...
varna kahin ka na chodegi ye shrishti tujhe aey insaan
 
jis prakruti ne paala posa tujhe apna jaan..
aaj usi ko nasth karne me samjhe tu apni shaan..
 
ab bhi waqt hai sambhal jao aur lo ye baat maan...
srishti ke bina nahi hai teri koi pehchaan..

Monday, 29 July 2013

Chand pe jaana ho agar

chand pe jaana ho agar...
taaroein pe rakho tum najar....


nikal pado raaho me hoke nidar..
manjil milegi pura hoga tumhara safar...


hamesha rakho bharosa khud par..
kabhi na bura karo kisi par...


chahe mile tum kitni bi thokar
khade ho jao har baar girkar...


himmat se paoge safaltao ke shikar....
rahegi hamesha tum pe rehmo najar..

 

Tuesday, 16 July 2013

Dharti Meri Cheeni (धरती मेरी छीनी)

dharti meri cheeni tumne vriksh meere kaate..
lakeere kheech kheech desh tumne baate....
 
itna karke bhi kyu chain nahi tum paate..
bana ke dharam jaati , insaan bhi tumne baate...
 
apni jarurat ki khatir pradushan tum karte jaate...
kyu nahi apni ichao pe aaj lagam tum lagate...
 
ho jayegi nasth ye dharti nayi peedhi ke aate aate..
kyu nahi tum ek dusre ko khuch nek kaam sikhate...
 
hosh me aakar kyu nahi vriskh tum lagate...
kya dekh ke badhall dharti ko bi aaankho me aansoo nahi aate..

Sunday, 30 June 2013

jebkatra

Jebkatro se saawdhan..
har jagah dekha humne ye paigam

chadhe bus me poster bola sabhal ke bhai jaan..
Utre market me to khambe pe tha wahi nishan..

humne turant batue ko sehlaaya..
uski jaan khatre me pa use briefcase pe chupaya..

kya hoga agar batua ho gaya chori...
kaise khareedunga main bachho ki cheeje choti choti..

kyu in jebkatro ko sharam nahi aati...
kisi ki mehnat churate hai isliye inke ghar kabhi khushiya nahi aati..

chori se accha hai bhook ka ek din gujarna...
mehnat ka niwala hi gale se neechey utarana..

gar hai khud pe bharosa aur hai khushi ki chahat...
chodo bura kaam dekho darwaaje pe tumhare hai kaisi aahat..

khushiya dene aayi hai tumhare dur pe dastak.....
achhai ke aage to sab koi hai nat mastak....
chod do bura kaam ban jaao ek nek insaan....
mehnat karoge to bhuke nahi maroge lo tum ye jaan....

Thursday, 6 June 2013

Aag dekhi hai Humne.. Dhuaa Dekha hai

aag dekhi hai humne ... dhua dekha hai...
bhook se bilhakte bachho ko rota dekha hai...

insaan dekhe hai humne ... unke vicharo ko dekha hai...
aagey badhne ki chah me unhe dusro ko raundte dekha hai....

immaarte dekhi hai humne.. unme base amiro ko dekha hai....
kisi ke janaje pe logo ko haste hue dekha hai....

neta dekhe hai humne... unke saath chalti bheed ko dekha hai...
sharab pila ke voto ko hathiyate dekha hai....

sadak dekhi hai humne.. bade bade pulo ko dekha hai...
milawat ke karan girne se .. dab ke marte majdoro ko dekha hai......

muskurahat dekhi hai humne.. logo ko haste dekha ha..
us hasi me chupi unki bebasi ko dekha hai....

daulata dekhi hai humne... uske peechey bhagte logo ko dekha hai..
chand noto ki khatir imandari ko marte dekha hai...

aag dekhi hai humne .. dhua dekha hai....
passe palatne pe ... insaano ko badalte dekha hai....

Saturday, 20 April 2013

ab bhi waqt hai

kyu bhula raha insaniyat ko...
kyu ban raha tu shaitan...

maasoomo pe karke atyachar..
kyu samjh raha khud ko mahaan....

kitna gir chuka hai tu..
kyu nahi ab sudharta tu baimaann...

kar liye kai kai jurm tune..
ab bhi waqt hai sudhar ja aur nek irada thaan...

dusro ke dukh me shamil hoke dekh jara...
aaj pukar raha tujhe tera imaan.....

khud se pehle dusre ki sochega..
tabhi to aagey bhadega mere hindustan....

khud se aankhe mila paayega....
waqt rehte sudhar jaye jo insaan..



Wednesday, 30 January 2013

समानता का कैसा इनाम

DICLAIMER: This poem is written targetting a small section of girls who thinks doing wrong things make them equivalent to boys. This is not to hurt anyone's feeling.

लड़का लड़की एक सामान
पर ये समानता का कैसा इनाम

हाथ में सिगरेट चेहरे पे मुस्कान
ये समानता का कैसा इनाम ....

गन्दी आदतों में सोचे अपनी शान
ये समानता का कैसा इनाम

न कोई शर्म न बड़ो का मान
ये समानता का कैसा इनाम

मुश्किल में बन जाये नाजुक नादान
ये समानता का कैसा इनाम

चलाएंगे गाड़ी चाहे न हो चलाने  का ज्ञान
ये समानता का कैसा इनाम

करके नक़ल लडको की माने खुद को सामान
ये समानता का कैसा इनाम

देख के इस परिभाषा को रह गया मैं हैरान
ये समानता का कैसा इनाम

लड़का लड़की एक सामान
पर ये समानता का कैसा इनाम


Tuesday, 11 September 2012

Bachpan

Khud me soye bachpan ko jagana hai
Befikar ho mushkilo pe muskurana hai...

chonto  ke darr ko bhula khelte jana hai....
Suraj ki garmi ko cold drink se bhujana hai..

Masumiyat jo kho gayi hai hum me..
Aaj use khud me fir se jagana hai..

khushiya jo kho gayi hai kahin
unhe aaj chehre pe fir se sajana hai..

apni natkhat naughty adao se..
fir se duniya ko hasana hai

Nafrat ko chod Unch neech ko bhula
hume ek dusre ko gale lagana hai..

khuch paane ki chah me
jee jaan hume ab lagana hai..

usko paane ki khushi me
apno ko nahi bhulana hai......

zindagi ki bhag daud me bhi
has ke aagey badhte jaana hai....

khud me soye bachpan ko fir se jagana hai..
befikar ho mushkilo pe muskurana hai..

Monday, 13 August 2012

kavita wahi baatein nayi...

Aankhein wahi sapne kai
Aasha wahi umeedien hai nayi....

Zindagi wahi mushkilein kai..
bharosa wahi himmatein nayi

Manzil wahi raastein kai..
dil wahi aarzooein hai nayi....

Sooraj wahi mausam kai...
Mauj wahi mastiya nayi...

Insaan wahi rishtey kai....
Zamaana wahi dostiya nayi....

Aasmaan wahi udaanein kai...
Aankehin wahi , chahat nayi...

Friday, 10 August 2012

Wo Bhi kya Din Hua karte the

wo bhi kya din hua karte the..
jab choti choti cheejo se hum hasa karte the..

kha ke ek choti si choclate..
maaano jahan jeet liya karte the......

chad ke chath pe
aasmaan chu liya karte the..

dekh ke taaro ko
sapne dekh liya karte the......

tute bat aur ball se
saara din khel liya karte the..

dhup me chao me..........
muskura ke jee liya karte the............

bachpan ke maano
kya haseen pal hua karte the..

ab to badi badi cheeje bhi
hume nahi lubhati hai....

Aircon ke bina to ab...
hume neend bhi nahi aati hai...

khelna to durr...
dosto se baat bhi nahi ho paati hai...

jaane anjaane me..
zindagi bhi kya kya dikhati hai......

Wednesday, 16 May 2012

Zinda ho tum


khuch karne ki chah liye jee rahe ho 
to zinda ho tum...

gar kisi ke aansso ko apna samjh rahe ho ..
to zinda ho tum....

gire hue ko sambhal rahe ho...
to zinda ho tum..

mata pita ko aadar samaan de rahe ho..
to zinda ho tum...

insaniyat ko samjh rahe ho 
to zinda ho tum...

diya hai sansar ne bahut uske liye kar rahe ho
to zinda ho tum

marne ke baad kisi ki aankhein ban rahe ho
to zinda ho tum

buraiyo ke samne buland hoke khade ho
to zinda ho tum....

kisi ke chahre ko  muskaan de rahe ho
to zinda ho tum....


Thursday, 10 May 2012

Ek Taara


Aasaman me chamkte taare ko dekh...
ek chota sa bacha apni maa se bola...

maa ye taara kyu chamkta hai...
kya isme bhi koi bulb jalta hai...

bache ki masum baat sun.. maa muskurai...
bache ko ek choti si kahani sunai...

boli durr desh me jab andhera ho jata hai..
anjaan raho me insaan ghabra raasta bhatak jata hai...

tab bhagwan in taaro se aasman ko jagmagate hai..
bhatke rahi ko sahi raah dikhate hai...

taare to hume andhero me bhi chamkna sikhate hai..
zindagi me sach aur sahasi hamesha mushkilo ko durr baghate hai

bade hoke tujhe bhi in taaro sa jagmagana hai...
safalta ki seedhi chadte hue apna farz ko nahi bhulana hai...

unchaiyo pe pahunch khuch is tarah chamkna hai..
asamarth aur nirbal ki na bhujne wali roshni tujhe banna hai...

maa ki di hui seekh bache ke man ko bahut bhayi...
kaha bada hoke karunga wahi jo seekh tune hai sikhai...




Saturday, 5 May 2012

Pyar hai tera to gum me bhi muskura rahe hai


 Wo sochte hain ki hum unse najre chura rahe hai
Durr rehke unko bhula rahe hai

Wo nadaan kya jaane hum apne aansoo chupa rahe hai
Har pal unhe hi yaad kiye ja rahe hai
...
Kehte hai ki hum jyada waqt sone me bita rahe hai
Par wo kya jaane sapne bhi unhi ke aa rahe hai

Saanso ko apni ye samjhaye ja rahe hai
Milne ki aas hai abhi isilie jiye ja rahe hai

Zindagi ka bhaar uthaye chale ja rahe hai
Pyar hai tera pass to dukh me bhi muskura rahe hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...