Showing posts with label short poems. Show all posts
Showing posts with label short poems. Show all posts

Thursday, 5 November 2015

Zindagi ka RangManch

natak ke kirdaaro jaise
dikha rahe apni kalakaari...

aaye is manch pe kaise...
samjhna thoda hai bhari...

kamane ko thode se paise...
bhag bhag nikali zindagi saari...

apne ban gaye paraye kaise..
nibhate nibhate zimedari...

natak hua samapt jaise taise..
nikal gayi darshako ki bheed saarii..

sajega manch kal phirse
par abhinay ki hogi baari tumhari..

--Poems By Peeyush

Thursday, 20 August 2015

Dekho khud ko hamari bhi nazar se

कभी देखो खुद को हमारी भी नज़र से 
कर बैठोगे मोहब्त तुम खुद से 

न समझो कर रहे है हम मजाक तुम से 
ख़ूबसूरती की मिसाल है सिर्फ तुमसे 

चाँद ने भी देखा है तुमको जबसे 
छुपा बैठा है बादलो के पीछे वो तबसे 

तुम्हारी काली झुल्फो के साये से 
बादल भी है थोड़े घबराये से 

गिरा रही हो बिजलिया आसमानो से 
धा रही हो सितम बन गए है सब दीवाने से 

कोई जाके जरा पुछलो उन बेचारो से 
मुस्कुराते है वो सिर्फ तुम्हारे  फ़सानो से 

न हो यकीन तो पूछो मेरे अरमानो से 
हो गए है वो मुझसे ही बेगाने से 

जाके पूछो अपने आईने से 
जो कहता है खुद को किस्मतवाला सारे जहाँ से 

- Poem By Peeyush

Friday, 24 July 2015

FB internet ka Saboot hai..

Har photo pe like bahut hai ..
sochta hoon zindagi me dost bahut hai...

comments karke chidane ka keeda bahut hai..
faltu ke topics pe behas ka irada majboot hai

FB pe id hona internet ka saboot hai..
maano Zuckerberg khuda ka bheja hua prem doot hai.

khane se pehle photo nikalne ka riwaj atoot hai..
LOL ROFL ke bina baatein chatting incomplete hai..

holidaying maano jaise koi photo shoot hai..
selfie ke bina album bhi maano incomplete hai..

Har status pe coments bahut hai..
FB ke bina maano internet incomplete hai...

Saturday, 18 July 2015

FB ki Duniya

karta hoon jab main profile pic update
likes ki lag jate hi maano parade

jab kabhi karta hoon status update..
friends karte hai reply almost immediate

FB ki duniya me till this date..
I have hundreds of good mate(s)..

ho jata hoon subah online at eight...
FB surf karta hoon chahe ho jaoo office ko late..

raat ko bhi when i am in neend ki state..
i cant miss a single friends update..

neend ko kehta ho kar thoda aur wait..
i need to say good night to my FB mate(s).


Monday, 22 June 2015

Pyar ki Shuruat hai Nayi


हो गये साल कई 
पर लगता है 
प्यार की शुरुआत है हर बार नयी 

बिताये हमने है साथ पल कई 
बनती रही हर पल 
ज़िन्दगी और भी हसीन 

तुमसे मिली खुशिया हमे कई 
साथ तेरे 
पार करी हमने मुश्किलें बड़ी बड़ी 

प्यार पाके तेरा हुआ हमे ये यकीन 
ज़िन्दगी तेरे बिना 
शायद ज़िन्दगी जैसी होती ही नहीं 



ho gaye saal kai..
par lagta hai 
pyar ki shuruat hai har baar nayi...

bitaye humne hai sath pal kai
banti rahi har pal
zindagi aur bhi hasin

tumse mili khushiya hume kai..
sath tere
paar kari mushkile humne badi badi..

pyar pake tera hua hume ab ye yakin
zindagi tere bina
shayad zindagi jaisi hoti hi nahi....

-Poem by Peeyush

Wednesday, 29 April 2015

kisan marta raha bhashan chalta raha

kisan marta raha bhashan chalta raha..
jaane kausa tamasha tha ye jo chalta raha..

logo ki taaliyo ke sahare wo ped pe chadta raha..
koi na samjha uska irada har koi khada dekhta raha..

ped pe chada wo aur wahan se chillata raha..
aise me bhi har koi ek dusre ko bus taakta raha...

na kisi ne kari pehal, jeewan ped pe dum todta raha..
har koi ek dusre pe iska dosh mandta raha..

ban gayi breaking news ghar ghar me news channel chalta raha..
koi pahuncha uske ghar aur koi TV pe rona dhona karta raha..

thi kya saajish ya majboori ye khayal sabke man me chalta raha
dard aur peedha me bus kisan ka ghar jalta raha..

--Poem By Peeyush


Wednesday, 31 December 2014

Naya Saal Aapko Mubarak Ho

naya saal aapko mubarak ho.....
sabke liye aane wala kal sukh  dayak ho..

saja rakhe dil me jo aapne sapne ho..
is saal aasha hai ki sab ke sab pure ho..

man me ek baar fir se harsh aur ullas ho..
bhichad gaye jo dost fir unka sath ho...

dil me khuch kar dikhane ka vishwas ho...
mehnat se manjil paane ka khwab ho....

bade bujurgo ke prati dil me samman ho..
burai ko jad se mitane ke liye sab taiyar ho...

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...