Showing posts with label Message. Show all posts
Showing posts with label Message. Show all posts

Monday, 5 August 2013

srishti (Nature)

saagar me uth rahe tufaan...
nadiya bhi le rahi massomo ki jaan...
 
khisak rahi dharti aa rahi hai baadh..
prakruti ka maano tut raha sabr ka baandh..
 
samjho gar samjh sako shrishti ka ye farmaan...
varna kahin ka na chodegi ye shrishti tujhe aey insaan
 
jis prakruti ne paala posa tujhe apna jaan..
aaj usi ko nasth karne me samjhe tu apni shaan..
 
ab bhi waqt hai sambhal jao aur lo ye baat maan...
srishti ke bina nahi hai teri koi pehchaan..

Tuesday, 16 July 2013

Dharti Meri Cheeni (धरती मेरी छीनी)

dharti meri cheeni tumne vriksh meere kaate..
lakeere kheech kheech desh tumne baate....
 
itna karke bhi kyu chain nahi tum paate..
bana ke dharam jaati , insaan bhi tumne baate...
 
apni jarurat ki khatir pradushan tum karte jaate...
kyu nahi apni ichao pe aaj lagam tum lagate...
 
ho jayegi nasth ye dharti nayi peedhi ke aate aate..
kyu nahi tum ek dusre ko khuch nek kaam sikhate...
 
hosh me aakar kyu nahi vriskh tum lagate...
kya dekh ke badhall dharti ko bi aaankho me aansoo nahi aate..

Wednesday, 30 January 2013

समानता का कैसा इनाम

DICLAIMER: This poem is written targetting a small section of girls who thinks doing wrong things make them equivalent to boys. This is not to hurt anyone's feeling.

लड़का लड़की एक सामान
पर ये समानता का कैसा इनाम

हाथ में सिगरेट चेहरे पे मुस्कान
ये समानता का कैसा इनाम ....

गन्दी आदतों में सोचे अपनी शान
ये समानता का कैसा इनाम

न कोई शर्म न बड़ो का मान
ये समानता का कैसा इनाम

मुश्किल में बन जाये नाजुक नादान
ये समानता का कैसा इनाम

चलाएंगे गाड़ी चाहे न हो चलाने  का ज्ञान
ये समानता का कैसा इनाम

करके नक़ल लडको की माने खुद को सामान
ये समानता का कैसा इनाम

देख के इस परिभाषा को रह गया मैं हैरान
ये समानता का कैसा इनाम

लड़का लड़की एक सामान
पर ये समानता का कैसा इनाम


Thursday, 10 January 2013

Drive Safe - Poem on Road Safety

Ek Galti pad sakti hai bhari..
Sambhal ke gaadi chalao isi me hai samjhdaari..

Chahe sath na bhi ho koi sawari....
Ghar walo ki taraf bhi hai tumhari zimmedari..

Do minute ka maja hai wo bimari...
cheen sakta hai jo saari khushiya tumhari....

Der se pahunche to padegi daant bhari...
khuch ho gaya to raasta dekhti reh jayengi najre pyari...

Helmet pehanne me hai suraksha tumhari..
Seat-Belt bachayegi jaan jab aayegi mushkil bhari...

Chalaoge tum tezz to daregi duniya saari......
Par ye na bhulo kal darne ki hogi baari tumhari....

To waqt aaya hai dikhao apni samjhdaari...
Sambhal ke gaadi chala dikhao apni dildaariii...

Poem By Peeyush
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...