Rashtravaad ki paribhasha pe
kyu uth rahe sawaal..
kya desh bhakti ko bhi
ab chaiye kisi budhijivi ki misaal
bhagat singh raj guru
ne kiya desh pe apna jiwan balidaan
koi soch bhi sakta hai kaise
karna in desh ke viro ka apmaan
desh prem to behta hai hamari
rago me banke lahu laal..
desh me rehke desh ka jo virodh kare.
aise kaputo ko desh se denge nikaal..
abhivyakti ki aazzadi ka..
na karo galat istemaal...
na rahoge ghar ke na ghat ke
ho na jaye tumhara bura haal..
bharat maata ki god me pale badhe hai..
na sahenge iska apmaan..
bharat maata ki jai ho charo aur
har desh bhakt ka bus yahi armaan...
-Poems by Peeyush