Sunday, 27 January 2013

Zindagi banke patang

Zindagi banke patang udti jaati hai
jaane anjaane kahan kahan sair karati hai
Mitti ki mehak mujhe aaj bhi lubhati hai...
apne ghar ki yaad mujhe har pal satati hai...
khwabo ke pankh laga ghar ke paas ke peepal pe le jati hai...
dekh us jhule ko mujhe bada rulati hai..
mand hawa ke jhoko se pardo ko aise udati hai...
jaane kisi apne ko chupa humpe muskurati hai.....
baadlo me chupa ghar ke chaubare pe le jati hai....
khela tha jahan dosto sang wo manjar phir dikhati hai....
nadi sa baha mujhe mere aangan me le jati hai...
kaano me aaj bhi maa lauriya gungunati hai...
chala tha jahan ungli pakad papa ki wahan aaj phir mujhe chalati hai...
dekh ke purani cycle ko mera man aaj bhi lubhati hai...
zindagi banke patang udti jaati hai.........
dekhe ye dorr hume kab tak aasmaan ki saier karati hai...

No comments :

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...