hili dharti hil gaya insaan ka vishwaas..
kis wajah se karuu main ab us khuda pe vishwaas.
marte rahe bache bhude tha charo aur vinaash..
barasta raha paani maano ro raha tha aakash..
jis khuda ne janam diya jeewan ko, usse thi bahut aas...
par dol gayi aastha jab dum todte dekha logo ko aas pass.
srishti ka niyam bhul gaya main na raha mujhe aabhaas..
jo bana hai uska to hona hi hai ek din vinaash..
aise me bhi khuch logo ka dola nahi vishwaas...
ye wo log hai jinhe mila dobara jeewn jake maut ke bahut pass..
insaan aaya kaam insaan ke, insaniyat pe hua mujhe fir vishwaas..
madad kar ek dusre ki, jit gayi logo ki logo pe aas...
jab daba tha malbe me aaya jo hath mere pass...
thaam liya maine bina puche dharm jaati, insaan pe tha mujhe vishwaas
jo chala gaya laut ke na aayega kabhi ab tumhare pass..
bus sikha gaya wo ki dharam se jyada karo insaaniyat pe tum vishwaas.
--Poem By Peeyush