Sunday, 27 May 2012

Satyamev Jayate

Kehte hai sach hai kadwa bada
Dekh ke sach ko nikal jati hai ache acho ki hawa

 Sach se churate rahe hai hum najre sada
 Aaj us sach ko jaan ne ko saara desh hai khada

 Sach ko dekh ke aankho se pani hai beh chala
Khuch kar gujarne ko aaj har insan hai aagey badha

 Na hoga nari ka apmaan, kiya hai irada kada
Bhrun hatya ke khilaf bhi ab ye desh hai adaa

Satya ka tiranga ab charo aur hai udaa
 naye bharat ka nirmaan karne sacha hindustani aagey badha

Satyamev jayate

-Poem By Peeyush

Ye kya kar daalaa - A poem on Politics

Duniya ka khel ajab hai gajab hai
Hai ye nirala

Har gali me milta hai
Pani milata doodhwla

Koi kha raha hai chara
Commonwealth hai kahin aur kahin hai hawala
Ye humne desh ka kya hashar hai jar daala

Chunawo me to hai bus paise ka bol baala
Gadi me milte hai karode rupey
aur khuch rupo ke liye aisi taisi karwata hai rikshe wala

Kabhi petrol kabhi diesel ke daamo ne hai maar dala
Had hui ab to inflation se cheen rahe garibo ke muh ka niwala

Netao ne chupa rakha hai videsho me dhan kaala
Aur kehte hai garib nahi hai 35 rupey kamaney wala

Jaago bharat koi aur nahi madad karne wala
In chunawo me dika do apni taakat kardo bure ka muh kaala

Wednesday, 16 May 2012

Zinda ho tum


khuch karne ki chah liye jee rahe ho 
to zinda ho tum...

gar kisi ke aansso ko apna samjh rahe ho ..
to zinda ho tum....

gire hue ko sambhal rahe ho...
to zinda ho tum..

mata pita ko aadar samaan de rahe ho..
to zinda ho tum...

insaniyat ko samjh rahe ho 
to zinda ho tum...

diya hai sansar ne bahut uske liye kar rahe ho
to zinda ho tum

marne ke baad kisi ki aankhein ban rahe ho
to zinda ho tum

buraiyo ke samne buland hoke khade ho
to zinda ho tum....

kisi ke chahre ko  muskaan de rahe ho
to zinda ho tum....


Maa - A Poem on Mother

Lauri suna k sulati thi
Subah sabse pehle uth nastha banati thi

Utha ke apni bahoein me neend se jagati thi
Kar taiyar hume wo school bus me baithati thi

Fir jaldi se ghar ke kaam wo niptati thi
Bina aaram kare fir wo lunch banati thi

School se aate hi hume gale lagati thi
Hamare feke hue baste ko sahi jagah pahunchati thi

Karake homework hume ghumane le jati thi
Wapas aakar hume apne hatho se dinner karati thi

Fir kitchen ki safai me lag jati thi
Jaane itni himmat mummy me kahan se aati thi

Sara din apna... ghar ko set karne me bitati thi
Aaram kahan wo to weekend bhi weekday jaisa manati thi

Har gum mushkil me yaad Maa ki aati thi
Maano mushkil me hume sambhalna wo sikhathi thi

Har kadam pe sath nibhane ki kasam uthai thi
Shayd isiliye Bhagwan ne Maa banayi thi


Poem by Peeyush
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...