Tuesday, 8 December 2015

Intoreance Against Intolerance

shabdo ke jaal me ulajh raha sansaar
aajadi ho kehne ki kar rahe sab pukaar

par jab bhi koi karta apne man ki baat ka ijhaar..
na jaane kyu mach jata hai chaaro aur haha kaar

shabdo se ho jati hai logo me takraar
unko shaant karne ki har khoshish ho jati hai bekaar

khuch vyaktigat swartho se leti hai ashahinshunta bada aakaar..
anyatha kaun chahta hai karna apna samay bekaar...

khuch bhi kehne se pehle bus jara socho ek baar...
kya koi bana sakta hai isko insaniyat ke khilaf hathiyaar

na bolo khuch aisa jo kare samaaj ki shanti pe vaar..
ekjut ho badhao bhaichara taki desh me aa sake khushali ki bahaar...

--Poem By Peeyush

Sunday, 15 November 2015

मोदी

मोदी केवल नाम नहीं 
सवा सौ करोड़ लोगो का विश्वास है 

थक कर रुक जाना मोदी ने सीखा नहीं 
विदेश में बढ़ा रहे देश का मान है 

सबका साथ सबका विकास केवल नारा नहीं 
ये भारत की प्रगति का आगाज है 

गैस सब्सिडी छोड़ने में नुक्सान नहीं 
देश के प्रति लोगो का निस्वार्थ योगदान है

बेटी बचाओ बेटी पढ़ाओ केवल नारा नहीं 
नारी जाती के प्रति भढ़ रहा देश का सम्मान है 

स्वछता अभियान केवल अभियान नहीं 
देश के कोने कोने से उठ रहा इंकलाब है 

प्रधान मंत्री सुरक्षा बीमा केवल योजना नहीं 
हमारे बुजुर्गो की सुरक्षा का इंतेज़ाम है 

इस अभियान में मोदी अकेले नहीं 
भारत की प्रगति के लिए सब उनके साथ है 

मोदी केवल एक नाम नहीं 
भारत के सुनहरे भविष्य की शुरुआत है 

-- Poems By Peeyush



Thursday, 5 November 2015

Zindagi ka RangManch

natak ke kirdaaro jaise
dikha rahe apni kalakaari...

aaye is manch pe kaise...
samjhna thoda hai bhari...

kamane ko thode se paise...
bhag bhag nikali zindagi saari...

apne ban gaye paraye kaise..
nibhate nibhate zimedari...

natak hua samapt jaise taise..
nikal gayi darshako ki bheed saarii..

sajega manch kal phirse
par abhinay ki hogi baari tumhari..

--Poems By Peeyush

Wednesday, 21 October 2015

Bharat Meri Shaan

na padhi kabhi geeta na padhi kabhi kuran.
fir bhi na jane kyu dharm ke naam pe lad rahe insaan..

laayi duniya me tumhe, daali naari ne tum me jaan..
bhula isko kyu kar rahe aaj naari ka hi tum apmaan..

jalte hai ghar jab hota hai charo aur ghamasaan..
khuch logo ki roti sikti hai jab ladte hai do insaan..

kadi mehnat aur mushkilo se desh banta hai maahaan..
do chaar ki wajah se na jhuke kabhi desh ka maan...

burai pe hoti hai achai ki jeet sada suno khol ke tum kaan..
ekta se jo rehte hai koi kar nahi skata unka apmaan..

gar koi puche tumse kya dharam hai tera bhole insaan..
has ke kehna tum main hoon bharat ka vasi bharat hi meri shaan..

--Poem By Peeyush

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...