Sunday 30 June 2013

jebkatra

Jebkatro se saawdhan..
har jagah dekha humne ye paigam

chadhe bus me poster bola sabhal ke bhai jaan..
Utre market me to khambe pe tha wahi nishan..

humne turant batue ko sehlaaya..
uski jaan khatre me pa use briefcase pe chupaya..

kya hoga agar batua ho gaya chori...
kaise khareedunga main bachho ki cheeje choti choti..

kyu in jebkatro ko sharam nahi aati...
kisi ki mehnat churate hai isliye inke ghar kabhi khushiya nahi aati..

chori se accha hai bhook ka ek din gujarna...
mehnat ka niwala hi gale se neechey utarana..

gar hai khud pe bharosa aur hai khushi ki chahat...
chodo bura kaam dekho darwaaje pe tumhare hai kaisi aahat..

khushiya dene aayi hai tumhare dur pe dastak.....
achhai ke aage to sab koi hai nat mastak....
chod do bura kaam ban jaao ek nek insaan....
mehnat karoge to bhuke nahi maroge lo tum ye jaan....

Tuesday 25 June 2013

Pita - A poem on Father

Paida hue hum jab pita ka naam mila
Is sansaar me hume naya maan mila

Pyas se bhatakte ko registaan me taalab mila
Garmi se jalte ko neem ki chao ka thanda ehsaas mila

Gire jab jab hum uthane wala ek hath mila
Sahi raah dikhane wala ek sacha insaan mila

Mushkil ki ghadi me hamesha uska sath mila
Hamari har jarurat ko pura kare aisa sansaar mila

Himmat de humko aisa vishwas mila
Apni takat ko pehchan aagey bhadne ka paigam mila

Hamari khushi ki khatir pita ka balidaan mila
Khush nasib hoon main jo mujhe pita ke roop me bhagwan mila


-Poem by Peeyush 

Sunday 23 June 2013

Panchi



dekh ke ek panchi ko
ruk gaya main bheech raah me...
kyu akela ud raha hai wo
is khule aasaamn me..
 
kya chahat hai iski..
kya pehchan iski..
kya dhund raha hai wo..
is khule aasamman me..
 
dur tak na koi manjil hai..
najar na aa raha koi saahil hai..
kis bharose se ud raha hai wo..
is khule aasmaan me....
 
kaisi himmat hai iski..
kaisi lagan hai iski..
dekho mast ho ud raha hai wo..
is khule aasamaan me..
 
paayega jarur jo manjil hai iski..
milegi jo khushi hai iski...
nidar nirbhay ho ud raha hai wo..
is khule aasamaan me...
 
 
 

Thursday 6 June 2013

Aag dekhi hai Humne.. Dhuaa Dekha hai

aag dekhi hai humne ... dhua dekha hai...
bhook se bilhakte bachho ko rota dekha hai...

insaan dekhe hai humne ... unke vicharo ko dekha hai...
aagey badhne ki chah me unhe dusro ko raundte dekha hai....

immaarte dekhi hai humne.. unme base amiro ko dekha hai....
kisi ke janaje pe logo ko haste hue dekha hai....

neta dekhe hai humne... unke saath chalti bheed ko dekha hai...
sharab pila ke voto ko hathiyate dekha hai....

sadak dekhi hai humne.. bade bade pulo ko dekha hai...
milawat ke karan girne se .. dab ke marte majdoro ko dekha hai......

muskurahat dekhi hai humne.. logo ko haste dekha ha..
us hasi me chupi unki bebasi ko dekha hai....

daulata dekhi hai humne... uske peechey bhagte logo ko dekha hai..
chand noto ki khatir imandari ko marte dekha hai...

aag dekhi hai humne .. dhua dekha hai....
passe palatne pe ... insaano ko badalte dekha hai....
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...