Thursday 15 December 2011

Dhan

Dhan kabhi hota nahi kaala....
Is yug me bus iska hai bol baala...

Chahe kare kitna bhi anshan ye Anna bechara...
hote rahenge 2G aur chara ghotala...

Janta ki akal pe netao ne daal diya hai taala..
Padhe likho ne kab hai koi vote daala...

In netao ka khuch nahi ukhadne wala....
inhone to milke desh hi hai bech daala....


Khushiyo ki Dukan

Khushiyo Ki Dukan


Kaash hoti khushiyo ki dukan ek 
Milti uspe jeevan ki mithas anek

 Jab koi udas ho jata... 
Bus jaldi se dukan chala jata 

 Apne dukho ke badle wahan se
Khushiyo ke uphaar le aata

Dukan me khushiyo ki na kimat hoti 
Duniya me na kabhi koi nafrat hoti 

Na koi kabhi aansoo bahata 
Bus khushiyo ki baarish me bheeg jaata 

Kaash hoti khushio ki dukan ek 
Jo khushiyo se kar deti sansaar ko ek

-Poem By Peeyush

Wednesday 14 December 2011

Saagar


kinare pe baitha musafir soch raha...
jaane saagar ki gehraiyo me kya dhund raha...

durr tak pani hai bus dikh raha...
aasaman bhi dur saagar ko choo raha...

jaane ye sagar humse kya chupa raha..
is sagar me to suraj bhi doob raha...

nadiyo ko maano ye pukar raha..
sama ja mujhe ye samjha raha.

gehraiyo se kyu gabhra raha...
tairna chahta hai to pehle doob jara...

Kinare pe baitha musafir soch raha..
sagar me mano koi anmol moti dhund raha.

Poem By Peeyush

Tuesday 13 December 2011

Safar

Ye safar hai anjaana...
yaadoein ka hai bus sahara...

hichkio se samjh jaana...
ki dil ne hai tumhe pukara...

ho sake to milne aa jaana...
waqt ka ye hi hai ishara...

chahe banana pade koi bhi bahana
ab mushkil hai bada duriya seh paana..

chod ke fikar ki kya kahega ye zamana..
aana pass mere aur mer gale lag jana

Poem by Peeyush

Sunday 11 December 2011

ARMAAN


ARMAAN

dil me jaage hai khuch armaan aise...
kitab se jhank rahe ho gulab jaise..

aa rahi hai kisi ki yaad aise...
patcjhad ke baad baarish ka intezaar ho jaise..


milne ki kasak si uthi hai man me aise...
pyasa registhan me dhund raha ho paani jaise...

dil ka haal likha hai maine khuch aise...
samjh lena ki udne ko tadap raha ho panchi jaise....

armaan to khuch hote hi hai aise..
aasamano me badlo ke jaise....

jab tak ud rahe hai to ud rahe hai aise
ruk gaye to baras jate hai wo pani jaise..

Saturday 10 December 2011

Mata-Pita

Hum jab duniya me aaye the....
kitni khushiya laaye the.....

Maata Pita ke chehro pe ...
Muskaan ban ke chaye the...

maa ne raat gujari thi jaag ke...
loriyo ne raat ko char chand lagaye the...

Pita sath the har kadam pe..
gir ke khada hona sikhate the.........

Aaj ho gaye hai hum jab bade....
kyu unko sabak sikhate hai...

kyu mamta aur pyar ko bhul ke ...
unse doorr ho jate hai....

hum hai malik apne jeevan ke ..
Keh unse apne raaj chupate hai...

lutayi thi jinhone sari khushiya hamari jarurat pe...
kyu unka sahara nahi ban paate hai...


jab ho jate hai wo nirbhar hum pe.....
to kisi old age home me chod aate hai....


mujhe to aata hai taras aise mitti ke putlo pe...
jo mata pita ka maan nahi rakh paate hai...

Chaana hai fir se unke chehro pe khushiya ban ke...
aao aaj hum kasam ye khaate hai....


-Poem By Peeyush





Friday 9 December 2011

Shayar

Har kisi k dil me chipa hai shayar ek jawaa

Koi shabdo se to koi nighao se shayri kar deta hai bayaa

Sukoon

Umar beet jati hai sukoon ki zindagi paane me
Sukoon mil jata hai insaan ko Zindagi jaane pe

Wednesday 7 December 2011

Pal - Poem on Life

kyu daud raha hai ruk jara
kya peechey chut raha hai sun jara...

Is pal ko to jee na saka
aane wale pal ko kyu pakad raha...

Jo mithas is pal me hai.
na jane kya rakha aane wale pal me hai..

Thoda tham ke jee le jara...
ye pal bhi hai khushiyo bhara...

Ek din to thak ke ruk hi janaa hai
sabko chod ke duniya se jaana hai...

Kiske liye daud raha tu kya paayega
kya laaya tha duniya me jo le jayega...

Ek din ye waqt tere liye tham jayega...
aane wala pal tere liye kabhi na aayega..

Is pal ki kimat us din tu jaan jayega...


Poem By Peeyush

Story of a Software Engineer

Listen to the story of a software engineer
He lived his life under his peers...

He wanted to keep his mind clear...
but it was always fill with fear....

Then he realized that in life there is no reverse gear...
so he gave damn shit to third tier...

He moved in life on top gear...
he made noise and made them hear...

life is all abt happiness my dear...
so live life king size without any fear.....

Poems by Peeyush

Ye Kaun Shaksh Hai Aaine Me

Ye kaun shaksh hai aaine me 
 Jo mujhpe muskura raha hai ....

Dikhta hai bilkul mere jaisa 
 par khuch yaad dila raha hai...

Jee raha hai kiski zindagi tu 
 ishare se ye samjha raha hai....

Sapne dekhe the tune kitne 
 Unko kyu bhula raha hai .....

Udna chahta tha khule aasaman me
 Aaj Unchaiyo se kyu ghabra raha hai...

Tod de saare bandhano ko 
 Himmat wo dila raha hai....

Dosto ko peechey chod... 
 kyu anjaan raho me bhada chala ja raha hai...

khol di hai aankhein jisne..
 zindagi ki nayi raah dikha raha hai...

Choti choti khushiyo me bhi 
 Jeena wo sikha raha hai....

Aaine me kaun shaksh hai Ye
 Jo mujhe zindagi ke maayne bata raha hai...

Poem By Peeyush

Mujhe Bhi Par Lag Jaye...

      

Mujhe Bhi Par Lag Jaye...


socha tha ki ek din aisa ho jaye...
mujhe bhi panchiyo ke jaise par lag jaye....

udoo main bhi uche aasmano me..
baadal bhi mere gale lag jaye....

dekhoo main bhi rang is duniya ke...
aur ye sab nazare mere ban jaye...

......

din aaye jab us udaan ke...
maano dar gaya main ye jaan ke...

Udne wala hoon main is aasaman me..
par kaun kaun udega mere sath me....

udna to akele hai bus ye maan ke...
ki ek din lautega panchi apne ghar aasman se....


:):) Poem By Peeyush
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...