Tuesday 8 December 2015

Intoreance Against Intolerance

shabdo ke jaal me ulajh raha sansaar
aajadi ho kehne ki kar rahe sab pukaar

par jab bhi koi karta apne man ki baat ka ijhaar..
na jaane kyu mach jata hai chaaro aur haha kaar

shabdo se ho jati hai logo me takraar
unko shaant karne ki har khoshish ho jati hai bekaar

khuch vyaktigat swartho se leti hai ashahinshunta bada aakaar..
anyatha kaun chahta hai karna apna samay bekaar...

khuch bhi kehne se pehle bus jara socho ek baar...
kya koi bana sakta hai isko insaniyat ke khilaf hathiyaar

na bolo khuch aisa jo kare samaaj ki shanti pe vaar..
ekjut ho badhao bhaichara taki desh me aa sake khushali ki bahaar...

--Poem By Peeyush

Sunday 15 November 2015

मोदी

मोदी केवल नाम नहीं 
सवा सौ करोड़ लोगो का विश्वास है 

थक कर रुक जाना मोदी ने सीखा नहीं 
विदेश में बढ़ा रहे देश का मान है 

सबका साथ सबका विकास केवल नारा नहीं 
ये भारत की प्रगति का आगाज है 

गैस सब्सिडी छोड़ने में नुक्सान नहीं 
देश के प्रति लोगो का निस्वार्थ योगदान है

बेटी बचाओ बेटी पढ़ाओ केवल नारा नहीं 
नारी जाती के प्रति भढ़ रहा देश का सम्मान है 

स्वछता अभियान केवल अभियान नहीं 
देश के कोने कोने से उठ रहा इंकलाब है 

प्रधान मंत्री सुरक्षा बीमा केवल योजना नहीं 
हमारे बुजुर्गो की सुरक्षा का इंतेज़ाम है 

इस अभियान में मोदी अकेले नहीं 
भारत की प्रगति के लिए सब उनके साथ है 

मोदी केवल एक नाम नहीं 
भारत के सुनहरे भविष्य की शुरुआत है 

-- Poems By Peeyush



Thursday 5 November 2015

Zindagi ka RangManch

natak ke kirdaaro jaise
dikha rahe apni kalakaari...

aaye is manch pe kaise...
samjhna thoda hai bhari...

kamane ko thode se paise...
bhag bhag nikali zindagi saari...

apne ban gaye paraye kaise..
nibhate nibhate zimedari...

natak hua samapt jaise taise..
nikal gayi darshako ki bheed saarii..

sajega manch kal phirse
par abhinay ki hogi baari tumhari..

--Poems By Peeyush

Wednesday 21 October 2015

Bharat Meri Shaan

na padhi kabhi geeta na padhi kabhi kuran.
fir bhi na jane kyu dharm ke naam pe lad rahe insaan..

laayi duniya me tumhe, daali naari ne tum me jaan..
bhula isko kyu kar rahe aaj naari ka hi tum apmaan..

jalte hai ghar jab hota hai charo aur ghamasaan..
khuch logo ki roti sikti hai jab ladte hai do insaan..

kadi mehnat aur mushkilo se desh banta hai maahaan..
do chaar ki wajah se na jhuke kabhi desh ka maan...

burai pe hoti hai achai ki jeet sada suno khol ke tum kaan..
ekta se jo rehte hai koi kar nahi skata unka apmaan..

gar koi puche tumse kya dharam hai tera bhole insaan..
has ke kehna tum main hoon bharat ka vasi bharat hi meri shaan..

--Poem By Peeyush

Tuesday 20 October 2015

Na Samajh ki Main haar Gaya

Na samajh ki main haar gaya...
Zindagi main tera khel pahchaan gaya..

mushkilo bhara daur aata raha..
par nidar main aagey bhadta raha...

hui thakaan to thak kar baith gaya..
baitha hu par na samjh ki main haar gaya...

ab bhi rago me hai josh naya
aagey bhadne me aata hai mujeh hardam maja ..

na haara hu na kabhi harunga
mehnat se safalta ko paonga...





Wednesday 23 September 2015

Maut se Mulakat (Encounter with Death)

ek baar ho gayi mulakat maut se..
kaha aaya waqt alwida kehne ka duniya se...

sakpaka gaya main ud gayi muskaan chehre se..
abhi umar hi kya hai meri jo roobaroo ho gaya maut se..

ghabra ke dhimi aawaj me pucha maine maut se..
kai kaam hai pure karne chaloo sath tere bata main kaise..

abhi to jee bhi nahi paaya zindagi main puri tarah se
vyast tha main har samay roz marah ke kaamo se..

kiya nahi koi kaam apne liye aaj tak apni khushi se...
sapne jo dekhe hai ab wo pure ho payenge kis tarah se..

maut muskura ke boli ja ke puch jara zamane se..
main to aati hoon hamesha zindagi ko le jaane acchanak se..

jiyonga khud ke liye 40 ke baad ye socha bhi tune kaise...
kyu bhaagta raha har samay kamane ko tu paise...

kyu nahi kiye kaam tune kabhi apni khushi se..
kyu muh ferta raha khud hi apne sapno se...

nahi koi fayda ab rone me aur pachtane se..
chal mere sath aur keh de alwida zamane se..

-Poem By Peeyush

Friday 28 August 2015

Saccha Insaan

नहीं बढ़ा सकते मान देश का 
तो करो इतना की न करो अपमान 

तुम्हारा लालच देखो कैसे 
ले रहा कितने मासूमो की जान 

समय न गवाओ व्यर्थ कामो में 
न करो खुद की मेहनत का अपमान 

आग लगाने से कब किसी का हुआ भला 
इतना तो समझो तुम सब नादान 

करना है तो करो मदद गरीब की 
ऊपर वाले का भी है यही फरमान 

जो जिया दुसरो की खुशिओं के लिए 
वाही कहलाता है दुनिया में सच्चा इंसान 

-Poem By Peeyush

Wednesday 26 August 2015

khuch gaddar abhi baki hai

Kya jarurat dushmano ki is desh ko
Desh me base laalchi hi kafi hai

Angrez chale gaye par lagta hai
Desh me khuch gaddar abhi bhi baki hai

Kabhi dharm pe kabhi jaatiwaad pe
Desh ko ladane ke peechey inhi ki chalaki hai

Na aana aise doglo ki baatoein me
Isi me hum sab ki samjhdari hai

Karke inka virodh dikha do fir se
Hazaro gaddaro pe ek deshbhakt hi kafi hai

#INDIAFIRST
-Poem By Peeyush

Saturday 22 August 2015

Koi Raah Dikha

कोई राह दिखा ऐ ज़िन्दगी
कब तक मैं भटकता रहूँगा

कब तक सवाल ए ज़िन्दगी को
युहीं अकेला खोजता रहूँगा

आया कैसे इस दुनिया में बनके अजनबी
कैसे एक दिन चला जाऊँगा

बन गए कितने रिश्ते दुनिया में
उन सब को पीछे छोड़ जाऊंगा

कैसे मिले सुख कैसे आई जीवन में ख़ुशी
क्या इस पहेली को कभी समझ पाऊंगा

क्या मकसद था मेरा क्या मंजिल थी पानी
क्या अपनी मंजिल हासिल कर पाऊंगा

अपनों से मिली जो ख़ुशी
क्या उन्हें भी कभीं लौटा पाऊंगा

एहसान थोड़ा कर मुझपे ऐ  ज़िन्दगी
वक़्त दे इतना की थोड़ी ख़ुशीया अपने साथ के जाऊँगा

Thursday 20 August 2015

Dekho khud ko hamari bhi nazar se

कभी देखो खुद को हमारी भी नज़र से 
कर बैठोगे मोहब्त तुम खुद से 

न समझो कर रहे है हम मजाक तुम से 
ख़ूबसूरती की मिसाल है सिर्फ तुमसे 

चाँद ने भी देखा है तुमको जबसे 
छुपा बैठा है बादलो के पीछे वो तबसे 

तुम्हारी काली झुल्फो के साये से 
बादल भी है थोड़े घबराये से 

गिरा रही हो बिजलिया आसमानो से 
धा रही हो सितम बन गए है सब दीवाने से 

कोई जाके जरा पुछलो उन बेचारो से 
मुस्कुराते है वो सिर्फ तुम्हारे  फ़सानो से 

न हो यकीन तो पूछो मेरे अरमानो से 
हो गए है वो मुझसे ही बेगाने से 

जाके पूछो अपने आईने से 
जो कहता है खुद को किस्मतवाला सारे जहाँ से 

- Poem By Peeyush

Friday 24 July 2015

FB internet ka Saboot hai..

Har photo pe like bahut hai ..
sochta hoon zindagi me dost bahut hai...

comments karke chidane ka keeda bahut hai..
faltu ke topics pe behas ka irada majboot hai

FB pe id hona internet ka saboot hai..
maano Zuckerberg khuda ka bheja hua prem doot hai.

khane se pehle photo nikalne ka riwaj atoot hai..
LOL ROFL ke bina baatein chatting incomplete hai..

holidaying maano jaise koi photo shoot hai..
selfie ke bina album bhi maano incomplete hai..

Har status pe coments bahut hai..
FB ke bina maano internet incomplete hai...

Saturday 18 July 2015

FB ki Duniya

karta hoon jab main profile pic update
likes ki lag jate hi maano parade

jab kabhi karta hoon status update..
friends karte hai reply almost immediate

FB ki duniya me till this date..
I have hundreds of good mate(s)..

ho jata hoon subah online at eight...
FB surf karta hoon chahe ho jaoo office ko late..

raat ko bhi when i am in neend ki state..
i cant miss a single friends update..

neend ko kehta ho kar thoda aur wait..
i need to say good night to my FB mate(s).


राजनीति की यादाश्त

राजनीति  की यादाश्त होती है कमजोर 
यहाँ हर वक़्त लगा रहता है करप्शन का शोर 

इलेक्शन से पहले जिसको कहते है ये चोर 
सरकार बनाने के लिए जोड़ लेते है गठबंधन की ये डोर 

इन नेताओ के दिल होते है बहुत कठोर 
भूके प्यासे मरते किसानो से ही वोट मिलते है इन्हे मोर 

करते है घोटाला या अत्याचार उनपे जो होते है कमजोर 
इनको डर नहीं कहते है जनता की भी यादाश्त है कमजोर 

जब चाहे भटका देते है जनता का ध्यान कहीं ओर 
ये है बहुत चालक बनाके बेफ़्कूफ फिर लेते है वोट बटोर 


Raajniti ki yaadasht hai bahut kamjor
yahan har waqt laga rehta ha corruption ka shor

election se pehle jisko kehte hai ye chor
sarkaar banaane ke liye jod lete hai gathbandhan ki ye dor

in netao ke dil hote hai bahut kathor
bhuke pyase marte kisano se hi vote milte hai inhe more

karte hai ghotala aur atyachar unpe jo hai kamjor
inko darr nahi kehte hai janta ki bhi yaadasht hai kamjor

jab chahe bhatka dete hai janta ka dhyan kahin aur
ye hai bahut chalak banake befkoof fir lete hai vote bator...

Poem By Peeyush



Monday 29 June 2015

Khuch Baat Hai Mujhme Jo

कुछ बात है मुझमे जो 
गिरके संभल जाता हू  हर बार 

मुश्किलो में आता है मुझे 
आगे बढ़ने का मजा हर बार 

थक के जब रुक जाता हू कभी 
हो जाती है दुगनी मेरी रफ़्तार 

सपने हो पाने जितने मुश्किल 
मजा आता है उतना ही करने में उन्हें साकार 

मुश्किलो को भी पता है अब तो 
मुझसे उलझना है बेकार 

हिम्मत है मेरी जो कभी हारी नहीं 
मेहनत से किया मैंने हमेशा प्यार 


khuch baat hai mujhme jo
girke sambhal jaata hu har baar

Mushkilo me aata hai mujhe
aagey badhne ka maja har baar.

thak ke jab ruk jaata hu kabhi
ho jati hai dugni meri raftaar

sapne ho paane jitne mushkil
maja aata hai utna hi karne me unhe saakaar

mushkilo ko bhi pata hai ab to
mujhse ulajhna hai bekaar

himmat hai meri jo kabhi haari nahi
mehnat se kiya maine hamesha pyar..

-Poem by Peeyush

Monday 22 June 2015

Pyar ki Shuruat hai Nayi


हो गये साल कई 
पर लगता है 
प्यार की शुरुआत है हर बार नयी 

बिताये हमने है साथ पल कई 
बनती रही हर पल 
ज़िन्दगी और भी हसीन 

तुमसे मिली खुशिया हमे कई 
साथ तेरे 
पार करी हमने मुश्किलें बड़ी बड़ी 

प्यार पाके तेरा हुआ हमे ये यकीन 
ज़िन्दगी तेरे बिना 
शायद ज़िन्दगी जैसी होती ही नहीं 



ho gaye saal kai..
par lagta hai 
pyar ki shuruat hai har baar nayi...

bitaye humne hai sath pal kai
banti rahi har pal
zindagi aur bhi hasin

tumse mili khushiya hume kai..
sath tere
paar kari mushkile humne badi badi..

pyar pake tera hua hume ab ye yakin
zindagi tere bina
shayad zindagi jaisi hoti hi nahi....

-Poem by Peeyush

Tuesday 2 June 2015

Bhula Ke Pyar Hamara

bhula ke pyar hamara..
aaj kehte hai hume nakaara...

jo chahte the hamesha sath hamara..
aaj do pal sath nahi hota gawaara..

jinka hum the zindagi jeene ka sahara..
aaj wo maang rahe zindagi dobaara..

ruth ke tod rahe wo dil hamara..
aaj ruth gaya humse zamana saara...

kyu badal gaya hai pyar ye hamara...
jaane kaun le gaya hai saari bahaara.

Friday 8 May 2015

Aise hi Bandey ki shaan hai

khud ko khuda na maan aey bande
teri kya aukaad hai......

upar wala chahe to hil jati hai dharti
hil jaata pahad hai....

burai chod neki ka rasta pakad aey bande
dena karni ka tujhe hisab hai...

karni ka hi fal hai tabhi to koi
jaanwar to koi insaan hai...

insaniyat ko na maar aey bande...
isse hi jeene ka maan hai..

insaaniyat hi to batlatati hai ki
har kisi me chupa bhagwaan hai ..

Kisi ko dukh na pahuncha aey bande
dard dena sabse bada paap hai ..

de wajah kisi ko muskurane ki
aise hi insaan ki sansaar me shaan hai..

Wednesday 29 April 2015

Karo Insaniyat pe Vishwaas (In memory of Nepal Earthquake Victims)

hili dharti hil gaya insaan ka vishwaas..
kis wajah se karuu main ab us khuda pe vishwaas.

marte rahe bache bhude tha charo aur vinaash..
barasta raha paani maano ro raha tha aakash..

jis khuda ne janam diya jeewan ko, usse thi bahut aas...
par dol gayi aastha jab dum todte dekha logo ko aas pass.

srishti ka niyam bhul gaya main na raha mujhe aabhaas..
jo bana hai uska to hona hi hai ek din vinaash..

aise me bhi khuch logo ka dola nahi vishwaas...
ye wo log hai jinhe mila dobara jeewn jake maut ke bahut pass..

insaan aaya kaam insaan ke, insaniyat pe hua mujhe fir vishwaas..
madad kar ek dusre ki, jit gayi logo ki logo pe aas...

jab daba tha malbe me aaya jo hath mere pass...
thaam liya maine bina puche dharm jaati, insaan pe tha mujhe vishwaas

jo chala gaya laut ke na aayega kabhi ab tumhare pass..
bus sikha gaya wo ki dharam se jyada karo insaaniyat pe tum vishwaas.

--Poem By Peeyush

kisan marta raha bhashan chalta raha

kisan marta raha bhashan chalta raha..
jaane kausa tamasha tha ye jo chalta raha..

logo ki taaliyo ke sahare wo ped pe chadta raha..
koi na samjha uska irada har koi khada dekhta raha..

ped pe chada wo aur wahan se chillata raha..
aise me bhi har koi ek dusre ko bus taakta raha...

na kisi ne kari pehal, jeewan ped pe dum todta raha..
har koi ek dusre pe iska dosh mandta raha..

ban gayi breaking news ghar ghar me news channel chalta raha..
koi pahuncha uske ghar aur koi TV pe rona dhona karta raha..

thi kya saajish ya majboori ye khayal sabke man me chalta raha
dard aur peedha me bus kisan ka ghar jalta raha..

--Poem By Peeyush


Sunday 12 April 2015

One Religion - IndiaFirst

धर्म के ठेकेदारो ने मुझे रोका
कहा ना जा साथ ये मुस्लिम है ये देंगे तुझको धोखा

बोले नहीं है इनका तुझसे कोई मिलान
ये माने अल्लाह को अपना भगवान

मैंने दूसरी और नजर घुमाई
जिस तरफ खड़े थे दो चार ईसाई भाई

पूछा धर्म के ठेकेदारो से
क्या कहते हो इन लोगो के बारे में

उनकी ओर से वही जवाब आया
मानो दोहराते हो किसी का पाठ पढ़ाया

मैंने कह दिया धर्म के ठेकेदारो से
गए वो दिन जब हम बंटा करते थे धर्म की बातों से

आज हमे कोई बाँट नहीं सकता
धर्म जाती के नाम में लड़ा नहीं सकता

INDIAFIRST ही मेरे धर्म और मेरा नारा है
भारत को मजबूत बनाने का दिल में पक्का इरादा है

धर्म कभी नहीं सिखाता लड़ना लड़ाना
अब छोड़ो तुम भी धर्म की आड़ में लोगो को भड़काना

अगर लड़नी है कोई लड़ाई
गरीबी के खिलाफ करो जंग करो सबकी भलाई

धर्म से पहले देश है मेरे भाई
यहाँ की मिटटी में पैदा हुए न करो इससे बेवफाई

हो जाओ एकजूट सालो बाद है ये शुभ घडी आई
देके अपना योगदान करो की भारत की प्रगति की अगुवाई। ।

जय हिन्द जय भारत !!!!!!!



Tuesday 10 February 2015

Lo aa gayi fir AAP ki bari

Lo aa gayi fir AAP ki bari
dekhte hai kya nibha payenge is baar jimmedari

kya kar payenge kam berojgari..
Aas laga ke baithi hai janta bechari..

kaam karne me hi hai samajhdari...
dharna pradarshan kiya to bigad jayegi baat sari

Pragati me ho janta ki hissedari..
kam karni hai tumhe rishwatkhori aur kaala bazari,

AAP se hai gujarish hamari...
rach do sunhera ithihas is baari...



Sunday 1 February 2015

Ho Gayi Bhor - हो गयी भोर

बदल रहा जमाना
देखो भड़ने लगा प्रगति की ओर

गली मोहलो  हर जगह
मच रहा ख़ुशी का शोर

मिली मेहनत को सफलता
हर कोई कह रहा दिल मांगे मोर

नफरत का देखो हो रहा विनाश
पिघल गए दिल थे जो कठोर

मुस्कान है चेहरों पे
जुड़ रही दिल से  दिल की डोर

लेके  नया सवेरा उग रहा सूरज
हट गया अंधकार देखो हो गयी भोर 

Wednesday 28 January 2015

Parinda

Parinda hu main..
Ed din udd hi jaonga

Peechey apne dher saari..
Yaadein chod jaonga..

Kisi ki khushi ...
kisi ki aankh ka pani ban jaonga..

kisi ki tadap..
to kisi ki muskurane ki wajah ban jaonga..

chah ke bhi
ghar laut ke na aa paonga

par yakin rakhna
jahan chod ke bhi tumhe bhul na paonga

zindagi gar mili dobara
sath dene fir chala aaonga

tumhe gar nahi hui meri jarurat..
to tere darr se hi laut jaonga/...

Poem By Peeyush

Tuesday 27 January 2015

Ajanta ki Murat

Bholi si uski surat..
maano ajanta ki koi murat..

hasi uski pyari si..
mausam ki pehli baarish si...

chaal uski morni samaan..
macha deti dilo me tufaan..

jhulfe aisi jaise ho kaale baadal.
jhatak de to karde sabko ghayal..

khoobsurti uski jo deewana kar de..
har kisi ko shama ka parwana kar de..

adda uski kabhi shola kabhi shabnam..
kayamat dha de dilo pe raaj kare wo hardam..

Poem By Peeyush

Sunday 25 January 2015

Zindagi ka Maja to le le

Bhagwan ko yaad to kar le..
Naya kaam shuru karne se pehle..

Daya bhav to man me jaga le...
Unchi udaan bharne se pehle..

Mehnat ka pasina to baha le..
Safalta milne se pehle.,

Safar ka maja to le le..
Manjil aane se pehle...

Apno ko khushi me shamil to karle..
unche mukaam paane se pehle..

Thoda muskura ke to je le..
Aansso bahane se pehle...

Zindagi ka maja to le le..
Aakhiri saans lene se pehle..

--- Poem By Peeyush

Some Ppl Have Great Talent

In this world some ppl have great talent
ppl admire them and call them parent..

For parenting there is no set of rules, there is no patent
Its an art of being calm and being patient..

They know the true value of being silent...
They give up their comfort for their kids development .

Parents love to see their kids achievement
They are the one who cheer the most on their accomplishment

They may be angry and may give them punishment
But their heart is always filled with love and attachment.

Everywhere God exists, but it cant be present..
To fill this gap God created this group and call them parent..

Friday 23 January 2015

Last day of College

बड़े उतावले थे यहाँ से जाने को
ज़िन्दगी का अगला पड़ाव पाने को

पर न जाने क्यों दिल में आज कुछ और आता है
वक़्त को आज रोकने को जी चाहता है

जिन बातोें पे रोया करते थे आज उनपे हंसी आती है
न जाने क्यों आज उन पलो की याद सताती है

कहा करते थे मुश्किल से चार  साल सह गया
जैसे तैसे मुश्किलो भरा घूँट पी गया

पर आज क्यों लगता है मानो कुछ पीछे छूट रहा
चार साल का घरोंदा अचानक टूट रहा

अब कौन रात भर साथ जाग कर पढ़ेगा
कौन जाके नाईट कैंटीन  में मैग्गी का आर्डर करेगा

मैं अब बिना मतलब किस से लड़ पाऊंगा
बिना टॉपिक किस से फालतू घंटो बात कर पाऊंगा

कौन फ़ैल होने पे दिलासा देना आएगा
कौन गलती से अच्छे नंबर आने पे गालियां सुनाएगा

कहते थे बोरिंग लेक्चर झेले नहीं जाते
ये टीचर है की रसोइये जो इतना है पकाते

जो क्लास हमेशा डराती थी 
आज उसकी खाली बेंचे बुलाती है

कैंटीन में बने समोसों की महक
आज भी बड़ा लुभाती है। .

पर सच है की वक़्त कभी रुकता नहीं है
कॉलेज में बिताया पल ज़िन्दगी भर भूलता नहीं है

यारोें जा रहे है यहाँ से है आख्ररी दिन जाना तो होगा
परउम्मीद है हमे की  ज़िन्दगी के अगले पड़ाव पे भी साथ तुम्हारा होगा

कॉलेज की यादोें का पिटारा हमेशा साथ होगा
ये बिताये  चार साल हमारे जीने का सहारा होगा।


- Poem By Peeyush n Friends

Monday 5 January 2015

College ka Pyar

college me hum mile the pehli baar..
canteen me hui thi hamari aankhein char...

kabhi pehanke aati wo skirt kabhi salwaar..
girati sabke dilo pe bijliya hazaar...

ice-cream aur chocolate se tha usko pyaar..
raat me teddy bear ban jata uske yaar...

roj dekh hume muskati laga hume ho raha unhe humse pyar..
par dosto ke bheech karti pyar se hamesha inkaar..

Saturday 3 January 2015

खरीदारी

शर्मा जी मिले करते हुए खरीदारी
देख के उनको ... खुली रह गयी आँखें हमारी

हाथ में झोला... झोले में भिन्डी तरकारी
लगा जैसे खरीद ली हो सब्जिया सारी

दूसरे हाथ की तरफ पड़ी जब नजर हमारी
चौंक गए हम देख के झोला भारी

पूछा हमने शर्मा जी क्या खरीद ली दुकान सारी
हंस के बोले वो क्या करू दुकान पे थी सेल भारी

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...