Monday 16 September 2013

Khushi aur Aansoo

pyar me chot aisi paayi...
aankhoein me aansoo ki ek boond bhi na aayi...
 
dil mera rota raha...
maano bachi kuchi saamsein ginta raha...
 
kyu dard ke baadal hai ghir aate...
kya ache nahi lagte log haste hasaate...
 
kyu tut jaate hai rishte naate..
kyu jane wale laut ke nahi aate...
 
duniya me koi reh jata hai kyu akela..
aati kyu nahi zindagi me uski sundar bela...
 
aansooyo me kya hai beh jaata...
dukh dard se koi alag kyu nahi hai reh paata..
 
kehte hai andhkar ke baad savera hai..
jaane kaun sa kal hoga jo bus mera hai....
 
roshni leke aaye wo zindagi me dobara...
kab tak akela rahunga main bechara..
 
zindagi se tut jaaye dard ka naata...
koi aaye aur jod de pyar se mera naata...
 
zindagi fir se haseen si ho jaye..
charo aur khushiya hi khushiya bikhar jaye...
 
aankho me aansoo ki jagah chamak ho nirali...
zindagi me ho pyar ki hamesha hariyali...
 
jahan bhi raho kush raho aur sada muskurao..
dusro ke aanssooyo ko muskaan me badalte jao....


Friday 13 September 2013

Mata Pita - 2

Aaaya Jahan me banke main anjaan..
Bhagwaan ne diye rishte kai mujhko masoom jaan...

Mila laad pyar pure hue maata pita ke armaan..
Kitni mushkilo se bada kiya mujhe is baat se raha main hamehsa anjaan..

Diya sath mera her kadam pe mujhko apna maan..
Ho gaye jab bujurg wo kya de nahi sakta main unhe thoda samman..

Unki galti aur baatoein se kaise ho sakta main pareshan..
Itna bhi bhula nahi , yaad hai mujhe unka har balidaan..

Nahi chaiye unhe dhan aur dolat bus maangte wo pyar aur sammaan..
Jo Maata Pita ka kare aadar wo hi hai sachha Insaan..

Jaana sabko hai is duniya se is baat se nahi koi anjaan..
karke Maata Pita ki sewa, bana sakte ho is Jeevan ko Mahan..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...