Friday 13 September 2013

Mata Pita - 2

Aaaya Jahan me banke main anjaan..
Bhagwaan ne diye rishte kai mujhko masoom jaan...

Mila laad pyar pure hue maata pita ke armaan..
Kitni mushkilo se bada kiya mujhe is baat se raha main hamehsa anjaan..

Diya sath mera her kadam pe mujhko apna maan..
Ho gaye jab bujurg wo kya de nahi sakta main unhe thoda samman..

Unki galti aur baatoein se kaise ho sakta main pareshan..
Itna bhi bhula nahi , yaad hai mujhe unka har balidaan..

Nahi chaiye unhe dhan aur dolat bus maangte wo pyar aur sammaan..
Jo Maata Pita ka kare aadar wo hi hai sachha Insaan..

Jaana sabko hai is duniya se is baat se nahi koi anjaan..
karke Maata Pita ki sewa, bana sakte ho is Jeevan ko Mahan..

No comments :

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...