Wednesday 29 April 2015

kisan marta raha bhashan chalta raha

kisan marta raha bhashan chalta raha..
jaane kausa tamasha tha ye jo chalta raha..

logo ki taaliyo ke sahare wo ped pe chadta raha..
koi na samjha uska irada har koi khada dekhta raha..

ped pe chada wo aur wahan se chillata raha..
aise me bhi har koi ek dusre ko bus taakta raha...

na kisi ne kari pehal, jeewan ped pe dum todta raha..
har koi ek dusre pe iska dosh mandta raha..

ban gayi breaking news ghar ghar me news channel chalta raha..
koi pahuncha uske ghar aur koi TV pe rona dhona karta raha..

thi kya saajish ya majboori ye khayal sabke man me chalta raha
dard aur peedha me bus kisan ka ghar jalta raha..

--Poem By Peeyush


No comments :

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...