Thursday, 5 November 2015

Zindagi ka RangManch

natak ke kirdaaro jaise
dikha rahe apni kalakaari...

aaye is manch pe kaise...
samjhna thoda hai bhari...

kamane ko thode se paise...
bhag bhag nikali zindagi saari...

apne ban gaye paraye kaise..
nibhate nibhate zimedari...

natak hua samapt jaise taise..
nikal gayi darshako ki bheed saarii..

sajega manch kal phirse
par abhinay ki hogi baari tumhari..

--Poems By Peeyush

Wednesday, 21 October 2015

Bharat Meri Shaan

na padhi kabhi geeta na padhi kabhi kuran.
fir bhi na jane kyu dharm ke naam pe lad rahe insaan..

laayi duniya me tumhe, daali naari ne tum me jaan..
bhula isko kyu kar rahe aaj naari ka hi tum apmaan..

jalte hai ghar jab hota hai charo aur ghamasaan..
khuch logo ki roti sikti hai jab ladte hai do insaan..

kadi mehnat aur mushkilo se desh banta hai maahaan..
do chaar ki wajah se na jhuke kabhi desh ka maan...

burai pe hoti hai achai ki jeet sada suno khol ke tum kaan..
ekta se jo rehte hai koi kar nahi skata unka apmaan..

gar koi puche tumse kya dharam hai tera bhole insaan..
has ke kehna tum main hoon bharat ka vasi bharat hi meri shaan..

--Poem By Peeyush

Tuesday, 20 October 2015

Na Samajh ki Main haar Gaya

Na samajh ki main haar gaya...
Zindagi main tera khel pahchaan gaya..

mushkilo bhara daur aata raha..
par nidar main aagey bhadta raha...

hui thakaan to thak kar baith gaya..
baitha hu par na samjh ki main haar gaya...

ab bhi rago me hai josh naya
aagey bhadne me aata hai mujeh hardam maja ..

na haara hu na kabhi harunga
mehnat se safalta ko paonga...





Wednesday, 23 September 2015

Maut se Mulakat (Encounter with Death)

ek baar ho gayi mulakat maut se..
kaha aaya waqt alwida kehne ka duniya se...

sakpaka gaya main ud gayi muskaan chehre se..
abhi umar hi kya hai meri jo roobaroo ho gaya maut se..

ghabra ke dhimi aawaj me pucha maine maut se..
kai kaam hai pure karne chaloo sath tere bata main kaise..

abhi to jee bhi nahi paaya zindagi main puri tarah se
vyast tha main har samay roz marah ke kaamo se..

kiya nahi koi kaam apne liye aaj tak apni khushi se...
sapne jo dekhe hai ab wo pure ho payenge kis tarah se..

maut muskura ke boli ja ke puch jara zamane se..
main to aati hoon hamesha zindagi ko le jaane acchanak se..

jiyonga khud ke liye 40 ke baad ye socha bhi tune kaise...
kyu bhaagta raha har samay kamane ko tu paise...

kyu nahi kiye kaam tune kabhi apni khushi se..
kyu muh ferta raha khud hi apne sapno se...

nahi koi fayda ab rone me aur pachtane se..
chal mere sath aur keh de alwida zamane se..

-Poem By Peeyush
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...