Thursday, 15 December 2011

Dhan

Dhan kabhi hota nahi kaala....
Is yug me bus iska hai bol baala...

Chahe kare kitna bhi anshan ye Anna bechara...
hote rahenge 2G aur chara ghotala...

Janta ki akal pe netao ne daal diya hai taala..
Padhe likho ne kab hai koi vote daala...

In netao ka khuch nahi ukhadne wala....
inhone to milke desh hi hai bech daala....


Khushiyo ki Dukan

Khushiyo Ki Dukan


Kaash hoti khushiyo ki dukan ek 
Milti uspe jeevan ki mithas anek

 Jab koi udas ho jata... 
Bus jaldi se dukan chala jata 

 Apne dukho ke badle wahan se
Khushiyo ke uphaar le aata

Dukan me khushiyo ki na kimat hoti 
Duniya me na kabhi koi nafrat hoti 

Na koi kabhi aansoo bahata 
Bus khushiyo ki baarish me bheeg jaata 

Kaash hoti khushio ki dukan ek 
Jo khushiyo se kar deti sansaar ko ek

-Poem By Peeyush

Wednesday, 14 December 2011

Saagar


kinare pe baitha musafir soch raha...
jaane saagar ki gehraiyo me kya dhund raha...

durr tak pani hai bus dikh raha...
aasaman bhi dur saagar ko choo raha...

jaane ye sagar humse kya chupa raha..
is sagar me to suraj bhi doob raha...

nadiyo ko maano ye pukar raha..
sama ja mujhe ye samjha raha.

gehraiyo se kyu gabhra raha...
tairna chahta hai to pehle doob jara...

Kinare pe baitha musafir soch raha..
sagar me mano koi anmol moti dhund raha.

Poem By Peeyush

Tuesday, 13 December 2011

Safar

Ye safar hai anjaana...
yaadoein ka hai bus sahara...

hichkio se samjh jaana...
ki dil ne hai tumhe pukara...

ho sake to milne aa jaana...
waqt ka ye hi hai ishara...

chahe banana pade koi bhi bahana
ab mushkil hai bada duriya seh paana..

chod ke fikar ki kya kahega ye zamana..
aana pass mere aur mer gale lag jana

Poem by Peeyush
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...