Wednesday, 23 September 2015

Maut se Mulakat (Encounter with Death)

ek baar ho gayi mulakat maut se..
kaha aaya waqt alwida kehne ka duniya se...

sakpaka gaya main ud gayi muskaan chehre se..
abhi umar hi kya hai meri jo roobaroo ho gaya maut se..

ghabra ke dhimi aawaj me pucha maine maut se..
kai kaam hai pure karne chaloo sath tere bata main kaise..

abhi to jee bhi nahi paaya zindagi main puri tarah se
vyast tha main har samay roz marah ke kaamo se..

kiya nahi koi kaam apne liye aaj tak apni khushi se...
sapne jo dekhe hai ab wo pure ho payenge kis tarah se..

maut muskura ke boli ja ke puch jara zamane se..
main to aati hoon hamesha zindagi ko le jaane acchanak se..

jiyonga khud ke liye 40 ke baad ye socha bhi tune kaise...
kyu bhaagta raha har samay kamane ko tu paise...

kyu nahi kiye kaam tune kabhi apni khushi se..
kyu muh ferta raha khud hi apne sapno se...

nahi koi fayda ab rone me aur pachtane se..
chal mere sath aur keh de alwida zamane se..

-Poem By Peeyush

Friday, 28 August 2015

Saccha Insaan

नहीं बढ़ा सकते मान देश का 
तो करो इतना की न करो अपमान 

तुम्हारा लालच देखो कैसे 
ले रहा कितने मासूमो की जान 

समय न गवाओ व्यर्थ कामो में 
न करो खुद की मेहनत का अपमान 

आग लगाने से कब किसी का हुआ भला 
इतना तो समझो तुम सब नादान 

करना है तो करो मदद गरीब की 
ऊपर वाले का भी है यही फरमान 

जो जिया दुसरो की खुशिओं के लिए 
वाही कहलाता है दुनिया में सच्चा इंसान 

-Poem By Peeyush

Wednesday, 26 August 2015

khuch gaddar abhi baki hai

Kya jarurat dushmano ki is desh ko
Desh me base laalchi hi kafi hai

Angrez chale gaye par lagta hai
Desh me khuch gaddar abhi bhi baki hai

Kabhi dharm pe kabhi jaatiwaad pe
Desh ko ladane ke peechey inhi ki chalaki hai

Na aana aise doglo ki baatoein me
Isi me hum sab ki samjhdari hai

Karke inka virodh dikha do fir se
Hazaro gaddaro pe ek deshbhakt hi kafi hai

#INDIAFIRST
-Poem By Peeyush

Saturday, 22 August 2015

Koi Raah Dikha

कोई राह दिखा ऐ ज़िन्दगी
कब तक मैं भटकता रहूँगा

कब तक सवाल ए ज़िन्दगी को
युहीं अकेला खोजता रहूँगा

आया कैसे इस दुनिया में बनके अजनबी
कैसे एक दिन चला जाऊँगा

बन गए कितने रिश्ते दुनिया में
उन सब को पीछे छोड़ जाऊंगा

कैसे मिले सुख कैसे आई जीवन में ख़ुशी
क्या इस पहेली को कभी समझ पाऊंगा

क्या मकसद था मेरा क्या मंजिल थी पानी
क्या अपनी मंजिल हासिल कर पाऊंगा

अपनों से मिली जो ख़ुशी
क्या उन्हें भी कभीं लौटा पाऊंगा

एहसान थोड़ा कर मुझपे ऐ  ज़िन्दगी
वक़्त दे इतना की थोड़ी ख़ुशीया अपने साथ के जाऊँगा

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...