Sunday 27 May 2012

Ye kya kar daalaa - A poem on Politics

Duniya ka khel ajab hai gajab hai
Hai ye nirala

Har gali me milta hai
Pani milata doodhwla

Koi kha raha hai chara
Commonwealth hai kahin aur kahin hai hawala
Ye humne desh ka kya hashar hai jar daala

Chunawo me to hai bus paise ka bol baala
Gadi me milte hai karode rupey
aur khuch rupo ke liye aisi taisi karwata hai rikshe wala

Kabhi petrol kabhi diesel ke daamo ne hai maar dala
Had hui ab to inflation se cheen rahe garibo ke muh ka niwala

Netao ne chupa rakha hai videsho me dhan kaala
Aur kehte hai garib nahi hai 35 rupey kamaney wala

Jaago bharat koi aur nahi madad karne wala
In chunawo me dika do apni taakat kardo bure ka muh kaala

No comments :

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...