Thursday 10 May 2012

Ek Taara


Aasaman me chamkte taare ko dekh...
ek chota sa bacha apni maa se bola...

maa ye taara kyu chamkta hai...
kya isme bhi koi bulb jalta hai...

bache ki masum baat sun.. maa muskurai...
bache ko ek choti si kahani sunai...

boli durr desh me jab andhera ho jata hai..
anjaan raho me insaan ghabra raasta bhatak jata hai...

tab bhagwan in taaro se aasman ko jagmagate hai..
bhatke rahi ko sahi raah dikhate hai...

taare to hume andhero me bhi chamkna sikhate hai..
zindagi me sach aur sahasi hamesha mushkilo ko durr baghate hai

bade hoke tujhe bhi in taaro sa jagmagana hai...
safalta ki seedhi chadte hue apna farz ko nahi bhulana hai...

unchaiyo pe pahunch khuch is tarah chamkna hai..
asamarth aur nirbal ki na bhujne wali roshni tujhe banna hai...

maa ki di hui seekh bache ke man ko bahut bhayi...
kaha bada hoke karunga wahi jo seekh tune hai sikhai...




1 comment :

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...