Sunday 27 May 2012

Satyamev Jayate

Kehte hai sach hai kadwa bada
Dekh ke sach ko nikal jati hai ache acho ki hawa

 Sach se churate rahe hai hum najre sada
 Aaj us sach ko jaan ne ko saara desh hai khada

 Sach ko dekh ke aankho se pani hai beh chala
Khuch kar gujarne ko aaj har insan hai aagey badha

 Na hoga nari ka apmaan, kiya hai irada kada
Bhrun hatya ke khilaf bhi ab ye desh hai adaa

Satya ka tiranga ab charo aur hai udaa
 naye bharat ka nirmaan karne sacha hindustani aagey badha

Satyamev jayate

-Poem By Peeyush

No comments :

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...